X
    Categories: Stories

Thakur Sahab [Part 1/2] | ठाकुर साहब [भाग- १/२]

Amit abhi graduate hua hi tha ki uske pitaji ka dehant ho gaya. Maa ka to dehant tabhi ho gaya tha jab Amit 4 saal ka tha. Uske pitaji ne hi Amit ko paal-posker bada kiya tha. Unhi ki kadi mehanat thi ki Amit graduate ho paya varna Amit ka to padhne mein ek dam bhi mann nahi lagta tha. Sara din gali ke ladkon ke saath khelta rahta kyoki pitaji to apni naukari per chale jate the. Phir Amit ko kiska dar tha, n maa thi, n koi aur. Bhook lagi to pitaji khana banaker jate usme se nikalker kha leta.

Latest updates ke liye hamare Facebook Page ko like kare.

Ek din Amit achanak bahut bimaar pad gaya. Uske pitaji use leker doctor ke paas gaye, tab doctor ne bataya ki typhoid ho gaya. “Khaan-paan ka vishesh dhyan rakhe.” Tabhi se pitaji apni sarkari naukari chhodker ghar per hi tuition padhane lage. Ab Amit ki majboori thi ki jab pitaji aur bacchon ko padhate to use bhi padhane baitha lete. Kuchh samay baad Amit ka sarkari school mein dakhila bhi karwa diye. Pitaji ki sakhti ke kaaran hi vo aaj graduate ho paya tha, kintu graduate paas karne se pehle hi pitaji ne amit ki shaadi karwa di thi. Uske pitaji ko lagta tha ki unhe kuchh ho gaya to Amit ka kya hoga? Amit ne to bahut mana kiya, kintu pitaji the ki manne ko tyar n the.

Kaash…us samay ad gaya hota to aaj puri grahsthi ka bojhh mere per na hota. Amit ke paas koi naukari n thi. Kuchh baccho ko tuition padha deta, unhi paiso se badi mushkil se ghar ka guzara ho pata tha. Uski patni (Puja) thi. Vo bhi anpadh gawar kintu swabhav ke maamle mein thi dhanwaan, jaisa naam waisa swabhav- Sabhi se madhur bolti, ghar grahsthi mein kam ya jyada vo kabhi n ladati n jhhagadti, jo bhi hota usi mein khush v santust rahti. Do-teen saal mein ek saadi mil jati to vo khushi se phuli n samaati, parantu aisa n tha ki puja ke sapne n the per bolti kisi ko n thi. Bas khamosh rahti. Yahi baat amit ko ander hi ander khaye ja rahi thi ki ye aur striyo ki tarah demand kyo nahi karti. Yahi sochker amit naukari ke liye der-der bhatkta, per naukari thi ki milne ko tyar n thi.

Ek din achanak Thakur sahab se mulakat ho gayi. Thakur sahab ko kaun nahi jaanta tha. Sabhi unse baat kerne ke liye utsuk rahte, kintu kisi ki himmat n padti aur aaj khud Thakur sahab chalker Amit se-

“kya tum naukari karna chahoge”-thakur sahab ne kaha.

“kyo nahi ..thakur sahab..andhe ko kya chahiye, do aakhen”-Amit ne khush hoker.

“thik hai ..kal ghar per aa jana”-Thakur sahab wahan se jate huye.

Agle din subah hi subah Amit naha-dhoker apni manpasand shirt pahante huye –

“Mai Thakur sahab ke paas jaa raha hu”

“Itni subah abhi to chhah hi baje hai”- Puja ne kaha.

“Naukri to naukari hai”-Amit kahte huye nikal jata hai.

10,000/-(das hazar) mein naukari pakki ho gai. Ab Amit ki khushi ka thikana n tha. Pehle kaha mahine bhar mein 1500-2000/-(pandrah sau-do hazar) hi kamaa paata tha.

Jaise-jaise samay bitata ja raha tha. Waise-waise Thakur sahab v Thakurain ka vishwas Amit per badata hi ja raha tha.

Isliye n kaha jaata hai – “Duniya ka sabse khubsurat paudha, Vishwas ka hota hai.

Jo zamin per nahi, Dilo mein ugtaa hai…”

Kyoki Amit bahut hi kam samay mein Thakur sahab ka saara kaam-kaaj bahut hi achhi tarah sambhal liya tha aur apne achhe vyavhaar ke kaaran vo pure gaav ka chaheta ban gya tha. Lekin Brijesh Thakur ko Amit footi aankh nahi suhata. Brijesh Thakur….

Thakur sahab ka eklauta beta to tha, per vo aksar hi dukhi rahte kyoki Brijesh ek bahut hi matlabi, aiyyaash kishm ka vyakti tha. Brijesh ki nazar kewal apne baap ki daulat per hi gadi rahti. Vo sochata kab is buddhe ki aankh band ho aur kab mujhhe saari jaaydaad ka malkaana mil jaye. Ye baat Thakur sahab se chhupi n thi, parantu apna dukhada rote bhi to kisse. Pura gaav is baat ko achhi tarah jaanta tha. Kai baar gaav wale aapas mein baat bhi karte, ki-

“Ram ke ghar mein shaitan kaise paida ho gaya..” ek Amit babu ko dekho jo paraaye ho ker bhi apne hai, kitana maante hai apne Thakur sahab v Thakurain ko. Unki dekhbhal to aise karte hai mano in logo ka aapas mein janam-janam ka naata ho. Isi vajah se gaav waale Thakur sahab ke baad kisi ko izzat v aader-satkar dete to vo Amit ko.

Ek raat Amit vaapas apne ghar jaate waqt kuchh logo ki ek jhhaadi ke pichhe khade hoker khusur-phusur baate kerne ki aawaze aai- “ Aaj raat Thakur sahab ka kaam tamaam karna hai. Ye kaam jitni jaldi ho sake ker daalo.. Tum logo ko noto se taul dunga.. Bas kaam pura hona chahiye.

Poos ki raat thi, kadaake ki thand hote huye bhi Amit ke maathe per pasine ki bunde chhalak aai thi. Use samajh nahi aa raha tha, ki in badmaasho ko pakdu ya Thakur sahab ko jaker bataau. Raat ke andhere ki vajah se Amit ko kuchh dikhai nahi de raha tha aur aawaz bhi aesi ki thik dhang se sunai nahi de rahi thi, Isliye andaza lagaana bhi mushakil tha. Aakhirkar Amit sochane ko majbur ho gaya, ki ye kaun log ho sakte hai? Ye Thakur sahab ko kyu maarna chahte hai? Aakhir Thakur sahab itne achhe insaan hote huye bhi unhone kisi ka kya bigaada hai?

Inn sabhi prashno ka uttar janne ke liye dusre bhaag ka intezar kare. Iss Kahani ka dusra bhaag kal yani Friday (31/03/2017) ko prakashit kiya jayega.

Tab tak aap apne vichar comment box mein likhe aur agar accha laga ho toh SHARE kare.

Add to favorites

आपको यह कहानियाँ भी पसंद आ सकती हैं: 👇🏾

Anita Agrawal :