X
    Categories: Stories

Mai na Bhulungi [Part 2/2] | मै ना भूलूंगी [भाग २/२]

Note- “Mai na Bhulungi” dusre bhaag ko padhne se pehle “Mai na Bhulungi” ke Pehle bhaag ko padhe.

Abhi tak aapne pehle bhaag mein padha tha ki Shruti, Sarita aur uske friends jungle picnic (forest trek) pe jate hain aur Shruti ka saath Sarita se chhut jata hai. Ab aage:

Yahi sab sochte sochte use shaam ho gyi thi. Ab uska dil aur jor-jor se dhadak rha tha kyoki na toh use vapas jane ka rasta dikha aur  na hi koi group wale. Uper se sham dhalti ja rhi thi. Mann hi maann bhagwan ko yaad kerte hue apne aap hi uske kadam-dar-kadam teji se aage badhte ja rhe the. Perantu manjil milne ko tyaar na thi itne mein use ek ajnabi budha vyakti dikha. Dekhte ke saath hi ek anjana darr liye pure sharir mein kampann ho gyi. Phir bhi ‘Marte kya na kerte’ wali baat thi.)

Himmat ker ke Shruti ne pucha “Baba aapne kuchh ladke-ladkiyo ko dekha hai kya. Mai haar  gyi hun unhe dhundte-dhundte.”

Bahut dhime swar se ek disha ki taraf ishara kerte hue bola- “Duniya tumhe us vakt tak nhi hara sakti jab tak tum khudse na haar jao.”

(Shruti me mano jaan aa gyi ho. Jis disha ki taraf budhe vyakti ne ishara kiya tha usi taraf daud padi. Thodi hi der mein usne dekha ek jharne ke paas sab naach-ga rha hain.)

(Vo daud ker sabko batane hi ja rhi thi ki uske saath kya hua kintu pao thithak gye aur ankhe phati ki phati reh gyi. Usne dekha Sarita masti se ankhe matka-matka ker Shruti aur apne saath wali baat aese bata rhi hai mano kisse kahaniya suna rhi ho. Yeh dekh Shruti ko chakker aa gya aur sochne ko majhboor ho gyi ki Sarita meri pakki dost… Jise mere bare mein sab kuchh malum tha usne aesa kiya. Oh!)

Mann hi mann – “Shikayat kerne se khamosh rehna behtar hai kyoki jab kisiko fark nhi padta toh shikayat kaisi?” – Chup-chap Shruti ek ped ke sahare baith ker apne group ke vapas jane ka intazar kerti hai itne mein dusri taraf se aawaz aati hai “Chalo yaro, Ab vapas chalet hain.”

(Shruti vahi se chhupti-chhupati group ke pichhe-pichhe vapas ghar aati hai. Aur yeh drid nishchay kerti hai ki zindagi mein kuchh bhi karegi kintu apne mummy-papa ko bata ker karegi. Jaise hi ghar aati hai Shruti apne papa se lipat jati hai aur rote-rote sari ghatna ka vritant suna deti hai. Saath hi apni kerni mafi maangti hai. Vo darr rhi thi ki ab uski kher nhi per yeh kya—Sab ulta, mummy-papa ke daantne ke bajay pyar se sine se chipkaker pith thapthapate huye kha. Hamesha yaad rakhna beta- “Kisi per bharosa karo toh aakhri saans tak karo, ya toh ek saccha dost paoge ya toh ek acchi shiksha isiliye beta zindagi mein tumhe Sarita jaise hazar log milenge kintu saccha dost sirf ek milega jise tumhara dil pehchanega ankhe nhi.”)

 

Note to parents- Isi ke saath har mata-pita ke liye ye kahana chahenge, ki bacchon ko bahut jyada bhi dara kar n rakhe , unke saath friendly rahe taki bacche aap se sabhi chhoti-badi samasyaon ke bare mai puchh sake aur aap un samasyaon ka samadhan kar sake.Iske saath hi saath apne bachhon ke sabhi friends ki jankari rakhe, taki samay rahate unhe sahi-galat friends ki salah de sake.

 

Note to Children- Baccho ko chahiye ki kabhi bhi bina soche samjhe dost n banaye aur agar bana bhi liye hai to unki har baat aankh band karke n mane jab bhi ghar se kahi bahar jaye to apno ko bata kar jaye ki kiske saath ja rahe hai aur kaha.

Aapko yeh kahani kaisi lagi? Apne vichar niche comment mein likhe. Aur aese hi aage bhi aur kahaniya padhne ke liye Email ID dalker subscribe kare.

Add to favorites

आपको यह कहानियाँ भी पसंद आ सकती हैं: 👇🏾

Anita Agrawal :